Posts

Han main Badal gaya hon

Image
Han main Badal gaya hon Han main keh raha hon Ali, ye main hi keh raha hon tmhra wohi dost jis ny kabi ksi b jga kisi b insan se har nhn mani aj wo ye batain tum se keh raha hai.. (Wo keh nhn raha tha wo siskian ly rha tha apny dost k smny) Wo laki meri pasnd nhn mera ishk hai or.......  "Ye ishk b to usi Zaat ny mery dil main dala hai ye Bat smjhny k liye k main  Ayrion tak Zoor b laga lu to kuch nhn kar skta us k Kun ka mohtaj hun Or agr usny Kun frma Dia to dunia ki koi Taqat usy mera hony se nhn Rok Sakti" muje badal dia hai mery kal ny main dar gya hon.tabah hona asan hai fana hona bohat mushkil.. bohat maan kia krta tha na khud py apni taqat py apny zahen  py apny har telnet k Taj ko main apny sar py sajya krta tha usny muje asi jga py btya hai k meri kia okat hai jahan main kar to kia kuch bol b nhn skata,   wo  khaliq or main makhloq hun main asal main khak hun or wo khak or hawon dono ka Mailq hai kbi b mery zary zary ko bikhair sakta hai. wa

Bohaat am cc larki

Image
Bohaat am cc larki Q nhn sochti wo chardiwari k bahr kabi usy T arbiyat  roki hai kbi Izaat. Bohat senstive sa lafz hai "Larki" name se hi ehsas hony lagta hai k dunia k sehmi c uljhi c nazuk c emotional c koi makhlooq hai mgr ak isi sehmi c nazuk c uljhi c makhlooq ka dusra pehlu muqamal,munfrid,bazabt,honsla mand,salika pasnd, bahdur, bahaya,Qurbania deny wali makhlooq hai. Tarjuma mushkil hai jis lafz ka us lafz ko larki kehty hain. kabi kabi bohat harait hoti hai k kesy ye zaaat itna kuch apny andar ly k itni noraml rehti hai  Ak bachi k roop main ye phool hai,ak larki k roop main ye khubsurti ki misal hai,ak maaa k roop main ye janat hai or phr nam iska  Bohaat am cc larki hai. Har dard har khushi har muskurahat har khawahish main ye kurbania deti hai phir b suuny main ata hai k is se hakeer,massoom,beaqal,bewafa koi nhn. Beti baan k apny maa baap ki sharmo haya ki hifazat ki zimadri iski hai Behn ban k apny bhaion ki izaat isky

اخلاق Ikhlaq

Image
   اخلاق  Ikhlaq baton ko bohat sari tasveeryn na dijiye sirf apna ikhlaq  اخلاق  behtar kr lijiye alfaz ko narmi main dhal lijiye yakin krn apki zuban ki mithas bohat se logon k dilon ko Rahat de skti hai bas apka lehja dusron py asar andaz hoga ap talkh lehjy se dusron k dilon ko kochal b sktyn hain or apny usi lehjy se kuchly hwe dilon ko skoon jesy muqam py b ly ja skty hain.  zindgi main kabi koi insan apny liye kuch bura pasnd nhn krta usky pas do option hoty hain Good and Bad to phir ikhlaq main kesi kanjoosi apny ikhlaq ko b top of the Good list main Rkhiye.Ap  apni zindgi main bohat kuch bdlna chahtyn hain hata k logon ko b magr nhn badl paty sirf or sirf isi waja se k log apko sun to lety hain magr yad nhn rkhty magr jin logon k ikhlaq mohabt,shafqat,ahtram jesi naimton se brhy hotyn hain wo ak to kia kai naslyn badl dety hain is ki sab se achi behtreen misal hmry payary Nabi    Hazrat Muhammad  ﷺ hain.jinhon ny na sirf  apny door k logon k dilon ko bdla blky an