إِنَّ اللّهَ مَعَ الصَّابِرِينَ.
إِنَّ اللّهَ مَعَ الصَّابِرِينَ.
Sabr k raaz jub khulne lagy muj py
Muje ksi cheez py phr sbr krna hi nhn prah..
Muje bohaat dair bs yehi lagta Raha k insan ko sbr krna prhta h kabi ajar k liye to kabi badly k liye..magr muje kabi ye khayal aya hi nhn k sabr to bs Allah k liye hota ye to uska sath pany k liye hota h iski mithaas to srf wo janty hn jinhen ye pata chal jata h sbr krne walon k Sath Allah hota h..or Jin k Sath Allah hota h uny phr kia hi jaza or makafat ka khyal rehta h...sbr ki Jo definitions hm ny Rati hn un se hm yehi sikhty hn k sbr kr lo tme sb mil jye ga lekan Quraan k mutabiq sbr walon ko Allah milta h or jisy Allah mil jye usky liye Dunia or janat phr maini nhn rakhti..han ye bat blkl theek h k Allah ki trf se ataon ki brishyh us py hotin hn Lekin wo sb secondary ho jti hn jesy ak payasy ko dood ka payala brh k sair kia jye or kaha ye k ye Pani b h to phr usky liye Pani Jo value hoti h blkl usk insn k liye dusri cheezon ki value ho jati h...agr hm apni histories ho dkhy to paigbron or walion ko Dunia k lalch se bohat door paty hn or janat ki bashrtyn to uny inam k toor py mlin hn uno ny Jo b kia srf is Liye k uny Allah chahiye tha uski Raza uski pasnd uski na pasnd ki fqr m zindgi guzrty rhy mgr hmry sbr m pehli cheez hi apna matlb h Dunia Dari ya janat..jb hum ye soch k sbr krty hn to phr iski lazat ko b wesa hi paty hn wo hme wo sb to de deta h jisky Liye hm sbr krty hn mgr us m skoon or mithaas nhn hoti..
Beshuk sbr hr kisi k bas ki bat nhn or ye asan b nhn mgr ye hr ksi ko de k bjha gya h wo to hm Dunia m a k iska Sath chorty hn apny maslon m uljh k apni khwhisht ko orh k wrna sbr asi taqat h jisy Nawaz di jye wo phr na to ksi rishty ka mohtaj rehta h na Dunia ki assaishon or khwhishon ka uski nmzil phr Sirf or Sirf ak hi hoti h Allah ka qurb isi Liye kaha gya h..
إِنَّ اللّهَ مَعَ الصَّابِرِينَ.
Comments
Post a Comment