Posts

Showing posts from 2022

Rishton ko Bandhna

 Main Rishton ko kbi b bandne ka Qail nhn Rha hmesha yehi sochta hun k ye ehsas dilne ki nhn ehsas hne ki cheez h agr ehsas dilya jye to ak br hi dilya jye agr br br usy refresh krna pry to wo tawaja hasil krne wli bt h or twaja kbi b ak jga nhn rehti wo sfr krti h aj ap py to kl kahin or hmesha dil ko bndhne ka kail rha hun dil ko bndhne k liye lafzon ki b zarort nhn hti bs ak suchy jazby se ksi ki nzr hi wo kamal kr jti h jo bri bri tmheedyn nhn kr patin agr ap pury dil se ksi ki trf rajhu kr jty hn to ye atal h k usky dil ko ap chu jyn gy or wo b wesy jazby ka mohtaj ho jye ga lkn is m b shrt h k wo dil ka ktna sucha h agr uske dil m wo suchai nhn jis suchai se ap usy chahty hn to phr wo rishta kbi b apka nhn rhy ga bdnaseeb insn h wo jo ksi suchy rishty ko neglect kr deta h behtr ki talash m ye to mjy nhn pta k wo behtr ko pa lta h ya nhn mgr wo anmool ko kho deta h..dil ki suchai se brh k kuch b nhn agr ksi insn ko dil ki suchai wla insm hasil ho jye to shaed hi us se brh k koi am

Meri Udasion k Sbab

 Meri Udasion hn Besbab Bas Rahtoon ki baat thi  wo na de sky muje besbab main zaya hwa main bikhar gya koi ras hi nhi  rangni b dunia m bri tawja se socha rat brh besbab mery meyar ka koi q nhn mila kia main agya hon is jga besbab uny dekh k m khil utha muskra dia wo boly ye skhokhian q hn besbab ak roz wo mily jo to pochun ga kia meri udasian b hain besabab kabi kabi hmry Demag main shikwoon ka dyr hota hai mgr hum shikwa to bht door ki baat koi lafz b apni zuban se nhn nkalpaty k kahin meri ksi bat se koi dil na dukh jyemagr ase jazby wle log khud bht tqlif ka samna krty hai  khud se hi swal or khud hi jwb 😕 dena shaed ksi azab se kaam nhn hota zindgi main bohat sari talkhian zaaat se joorti nhn blke chipak jati hain jinka na to koi hal hota h na koi ilaj wakti toor py ap iny ignore to kr skty hain mgr ksi b choty bchy ki trah khud se door nhn kr skty or kbi kbi to hum adhi ho jty hain mahine yaa hafty main us talkhi k yaad any ka khud hi wait kr rhy hoty 🤷‍♂️ hain k abi tak ai q

Purification of heart

Image
 Purification of Heart jesy k hum sub janty hain dil insan ka sub se main or important organ hai lekin ak cheez shaed hr insan na janta ho k dil na sirf as a human being bht zarori organ hai blky Qurb.a.ILAHI pane k liye b sub se pehla organ yehi hai yani wanhan b yehi main hai..hmri Rooh bohat hi sada or pakiza cheez hai isky liye swaab or ghuna azab or inam sub kuch secondry hai isky liye sub se pehli cheez Allah pak hai q k ye wnahn se ai hai mera ye kehna  b sahi nhn k Allah pak se mil k ai hai q k mery ilam ka jazira itna wasee nhn k ye lafz bol sakun mgr itna hr ak insan janta hai k rooh Allah pak k pas se ai hai isy dunia m udr se beja gya hai jahan hmry demag ki rasai nhn hai q k demag insan ko samjh bojh k liye dia gya hai or baki body ko control krne k liye dia gya hai mgr  ak cheez hmre jisam main asi hai jisy hmra demag control nhn kr skta zabrdsti kr skta hai mgr control nhn wo hai dil q k dil ka conection directly hmri rooh k sath joor dia gya hai sab janty hain k r

Meri Zid

Image
 Meri Zid Wesy to seh jata hun sab Ap ki judai nhn seh pata Sab kehty hn bra khush mizaj h Ap k bin khush nhn reh pata Lrh leta hun sari dunia se akla Pr apki in do ankhon se lrh nhn pata Mery sath chalty rehn ap to main razi Ap jo aik pal ruk jyn to main chl nhn pata zid krta hun main bus ap se Q k ap k ilwa ksi ko itna chah nhn pata.. Meri kuch adtyn bohat kharb hain jesy k zid krna or wo itni buri hai k shaed hi ksi ko b pasnd ho mgr meri zid k pichy jo pyr hai wo kbi show nhn kr paya main bus us insan se zid krta hun jisy jan se b zyda chahta hun jisy apna smjhta hun jiski  khatir jita hun main hr ksi se zid nhn krta.😑.mera ye manna hai k jin se main Ase zid krta hun unka muqam bohat uncha hai meri zindgi main main khomosh rehna bohat pasnd krta hun q k jahan ap zid nhn kr skty wanhan khmosh ho jana bht bhtr amal h q k wanhan apki zid ko kbi b positive nhn lia jye ga positve bs wanhan lia jye ga jahan ap se pyr krne wly majood hon gy..baz o kat meri zid mani nhn jati ya shaed mann

Nazar ki udasi

Image
 Nazar ki udasi Tery bgair udas hain meri rooh ki khirkian b  tu dekh muqam apna tu kahan kahan Basa hai.. Bohat chota sa lafz hai udasi mgr is m kainat ki hr ronaq simat jati  hai agr ye bahr ajye.. udasi kisi b kisam ki ho wo apko hr cheez se do char kr de gi ap ko kahin b kuch b phir acha nhn lgy ga...kuch udasion ka taluq rooh se hota hai jub rooh udas ho jaati hai to samne puri dunia ki ronqyn b rkh di jyn beasr hain q k jub rooh udas ho ajti hai to uski udasi Allah pak se udasi ka saboot hota hai isi ka nam ishk.a.hakiki b hai mgr aj ka topic ishk a mijazee se relate krta hai..udasion ki bht kismy hain un m se ak kisam hai hai nazar ki udasi ab iska taluq b sidha dil se hai q k dil ka baas in do ankhon py sab se zyda chlata hai to isky har effect ko sab se pehle ankhyn hi bear krti hain..isi trah ankhon ki apni khawhish km hi hwa krti hai pichy dil hi hota hai..jub dil ksii se udas ho jye to ankhyn b udas ho jya krti hain bohat khubsurat nazry ak trf or inki maan pasnd shey ak tr

Wakt Ka Atbar

Image
 Wakt Ka Atbar ............ Wakt ka atbar krna or wakt ka atbar na hona blkl do alag cheezyn hain asi cheezyn jis main ngtive or positive dno hi ajty hain..pehle wakt ka atbar krne ko hum discus krty hain ye jumla sirf wo insan boly ga jo Allah py bra yakeen rkhta hai bht pukhta hai apne Allah se uska rishta wo kahy ga Allah pak sb behtr kr dyn gy usy is bat py yakeen hoga beshuk wo andr se tota hwa gira hwa mra hwa q na bn jye wo kahy ga Allah ki azmaish h beshuk Allah ki azmaishyn utra krti hain apne bndon py apni makhluq py apny pyaron py sab py r azmaish wahad cheez hai jis se allah pak ko bndy ki nhn blky bndy ko khud apni pehchan ho jat hai k uska asal kia hai..isi trah azmaishyn apky sth jury logon ka asal b bta dia krti hain k wo apky liye yan ap un k liye kia drja rkhty hain...to Wakt k atbar ka taluq Allah se achi dosti ka sabot hai...ab ase hi dusri trf wakt ka koi atbar nhn ko discus kr lty hain ye bat blkl such hai k wakt ki apni mrzi hwa krti hai ye ksi k kehne yan kisi k

Ranjhe ki Heer

Image
  Ranjhe ki Heer    Main such kehta hun k ranjha hun uska or wo meri heer hai wohi ranjha hun jo apni heer k deedar k liye jee rha hai wohi ranjhan jo kabi b apni heer se judah nhn hova wohi ranjha jiski ratan jis k din Apni heer k liye guzra krty hain mery liye wo ibadat ki trah hai pakiza hai blkl wesy jesy ibadat pakiza hoti hai main us k sath wady b krta hun mgr joth nhn bolta ye nhn kehta han krun ga dekhun ga main krta hun krna chahta hun har haal main han m us heer ko pany k liye din raat kam b krta hun main us heer ki hasi se zyda kuch b anmol nhn smjhta meri heer jainamz py bethi mery liye duaen magti hai matyn mangti hai mosoomiyat se kehti hai Allah pak usko slamat rkhna wo meri heer mery liye blkl wesy hai jesy bchy k liye chand hota hai jisy pany ki dekhne ki mehsos krne ki adat or khwahish sari zindgi rehti h khtam nhn hoti chahy wo baha brah b q na ho jye...main wo bacha nhn hun jo heer ko khilono ki trah mangy q k khilone bs dil behlaty hain tot jaty hain phank diye jat

Mohabat k Naaz

Image
   Mohabat k naaz tum utha nhn sko gi .. Tum shehzadi ho uski ghli k chkr lga nhn sko gi Ye rasty tumhry ghr se kai agy hain jana.. In raston m btak k wpis a nhn sko gi Chlo maan b lo kehna chor do zid .. Aik bar dil gnwa diya to wpis paa nhn sko gi kuch rasty ase b hoty hain jin py hum chlna nhn chahty mgr wo hmra muqdar hwa krty hain muhabat b un m se ak asa rasta hai lakh koshish kro lakh khud ko rok lo mgr na hi wo apko rukne de gi na khud ruky gi apko wnhn tk ly jye gi jahan jana kia dekhna b mumkin nhn hoga mohabat insan se wo sab krwne ka hunr rkhti h jo  usy sochna b pasnd nhn hota ye insan ko ak mnt m khak or ak mnt main asman ki sair krwa deti hai sub se bari bat mohabat k naaz hwa krty hain ye naaz ase hain jin k taswur se hi ap dar jyn k ye main kesy kr skta hun yan krun ga mgr ye ap se krwye gi or br br krwye gi dil k khelon m sub se pasndida mohabat ka kheil hai jaahn isy pta hai k ma har jaon ga wnhan b ye majbor krta hai k har m hi to maza hai..jaan ki bazi lgna bohat m

Rahat c ak Nazar

Rahat c ak Nazar Insan k sath jhury lamhy agr bohat uljhno or taqlifon se brhy pry hain to ase b bohat se lamhe hain jin main maaan hai skoon hai mohabat hai apna pan hai khloos hai mithas hai suroor hai  or Rahat hai kisi se Mohabat ka iqrar b lazmi hai mgr ye 24 ghnty nhn kia ja skta yan phr 365 din nhn kia ja skta na hi isy jtya ja skta hai hr wakt na hi is m shrtyn rakhi ja skti hain han ynhan shrt se murad asi shart hai jo dusry insan ko mushkil main dal de yan uska skoon cheen lyn is k ilwa Mohaabt main ak dusry k liye bht c shrtyn ho sakti hain jesy ak Bivi apne shohar se ye shart rakh sakti hai k ap dhari rakhyn gy to main b hijab main raha krun gi ye shrt na sirf un dno ki mohabt importance ko  zahir kry gi balky Allah pak se Qurbat b brha de gi..to hr wakt hum ak situation main nhn reh skty mgr hum kisi k lamhon ko Rahat zaror bakhsh skty hain..Rahat se murad Situation k mutbik apni feelings ko dusron  tk ponhchna iski bohat c misalyn di ja sktin hain jesy Kisi ki jeet  pe ap

Sehra main batak Gya

Image
  Sehra main batak Gya    Jub insan kisi rasty main batak jaata hai to usky pas bohat options hty hain k wo wpis ja sky wo rasta poch sky ksii or rasty se ponhch sky mgr jub wo ksi sehra main batak jata hai to uske pas asa koi b option nhn hota k wo koi hal nkl sky wo na hi ksi se kuch poch skta hai na hi koi direction pta kr skta hai bus us wakt ak hi zaat hoti hai jis k kram se wo nikal skta hai.. usy bohat se khoof sta rhy hoty hain tofan k ajne ka khoof payas ka khoof kisi sehrai zehrily janwar ka khoof wo apni manzil se kai zayda apni jaan ka fikr mand ho jata hai  usy beyank treen mout ki fkr lg jati hai usy lgta hai jesy uski jan bs kisi b wakt main nikal li jye gi us wakt wo apni brdasht se kai zyda lrh prhta hai wo pyas brdash kr leta hai wo bokh se guzrta hai sehra ki tapish kisi py reham nhn krti wo batky huwe insno ko ase jala k rkh deti hai k wo kisi jalty hwe anghron m se guzr rhy hon hwaon ka zoor b us wakt sehra ka hi sath deta hai sab mil k insan k andr ki hr ak kmzori

إهـدنـا الـصـراط الـمـسـتـقـيـم - Ihdina al-Sirat al-Mustaqim

Image
      إهـدنـا الـصـراط الـمـسـتـقـيـم  Ihdina al-Sirat al-Mustaqim Naiki ki raah pe chlna asan hai yan mushkil..?ye swal hr us zehn m ata hai jo is rasty py chlne ki yan to koshish krta hai yan phr chlna shuru krta hai is rasty ka matlb Hai sidha rasta hr wo insan jo sidhy rasty ko apnna chahta hai wo tehry raston py chal rha hota hai ase rasty jo hume sidhy raston se batka dety hain to sb se pehli bat k ye shurwat main mushkil ho skta hai q k jb hum batak jaty hain or phr sidhy rasty py any ki koshish krty hain to humy dhondna prhta hai phr mushkil to paish aye gi hi mgr ak bar is rasty py chal prho to asnia mil jyn gi ab ynhn asnion ka mtlb ye b nhn k aram de zindgi yan ashisho aram is ka matlb ye hai k dubra btkne se bach jao gy yan jin raston se nkl k aye ho wo nhn dekhne pryn gy Allah pak ki zaat se duri ka dr khtam ho jye ga zehn bohat sari uljhno se bach jye ga mushkil se mushkil kam krty hwe ye ehsas nhn ho ga k main kuch ghlat kr rha hun yan phr wakt zya kr rha hun is ki sab