Posts

Meri Tanhai

Image
 Meri Tanhai kabi kabi insan ase levl py b ajta hai k wo sirf or sirf tanhai dhundhta hai uska dil mutmain nhn hota mehfilon m bezari hi bezari mehsos krta hai usko bs hr cheez se rehai chahiye hoti h rishton naton zimadarion even k khud se b wo itna bebas or nakam sa feel krta hai k insano se nhn khud se b bchta phirta hai wo chahta hai ak rasta ho bs us py chlty jana ho kabi us rasty py brish hony lgy kbi dhoop ho or kabi patjhar ho us rasty py jo b log hon sb ajnabi or bekhyalion m chlty rhyn kisi ko kisi se koi ghrz na ho asal m ye wo muqam hota hai jb ak insan drd sehty sehty thokryn khaty khaty jan bojh k dhokhy khata hwa thak sa jata hai us wakt uski zaaat m uska apna ap nhn bchta wo asal m wo insan hota hi nhn jo wo kabi tha...ye uski ak koshish hoti h k wo apni zaat m khoya hwa apna ap dhundhy..dil ki halat us wakt banjhr zameen c hoti hai or demag ki halat kisi bhulbhliya si...har cheez us wakt shikwy main ghrk hoti hai k hme kis muqam py khara kr dia hai...apni zaat ki tanha

Meri Mohabat

Image
 Meri Mohabat kabi kabi muje lagta hai k main bohat selfish hun apny mufad k liye hai mera ehsas hr zarort jo kuch b hai meri lazat mery skoon k liye hai...isko mohabt nhn  kehty kisi insan ko itna beskoon kr dena k wo preshan ho jye wo thak k chor ho jye isy mohabt nhn kehty...magr phir usi pal m ye khayl ajata hai k Allah ny muj se bht sary rishty ly k muje ye insan diya hai bht kuch de k main ny usy pya hai Allah br br azmata hai or har bar kamyabi mil jati hai muje uski hr tqlif main muje tqlif hoti hai sara sara din mery khayal main ye cheezyn ghhomti rehti hain k usy kesy khush krun usky liye ab kia asa krun k main bas main hi sb se zayada pasnd rhun usy asa kia hai jo meri zaat main jo usy khushi or raaht de saky...uski hifazat kesy krun uski kaamyabi se jealousy nhn hui kabi blky lgta hai ye meri achivments main se hai....to phr ye mohabt kesy na hui ye ehsas pure kesy nhn hain ye to khalis rehty hain jo b ho jye jesy b ho jye kuch b ghlat ho jye ktnii b tqlif mil jye magr uska

Ehtraam

Image
Ehtraam Mera hmesha se mnna hai k zindgi mian Ehtram bra lazmi juz hai is k bgair ap na hi apni zaat ko muqamal kr skty hain na hi kisi rishty ki bunyaad ko..ap insaan hi kia hwe agr apki zaat m Ehtraam jesi sift majuud nhn..Ehram insan ko sabir or naik bnny py majboor kr deta hai...misaal k tor py agr ap kisi insan ka ehtram krty hain to ap kbi b us ki ghltion or kothion py us py gussa nhn kr skty or na hi badzubni krn gy lakh chahty hwe to ye cheez apko sabir bnnna sikhti hai..or jb ap Apny paida krny wly apny khaliq yani...          Allah tala k Ahkamat ka ehtram krtyn hain to phir apki zaat m naiki khud ba khud any lag jati hai..is liye Ehtram insan ko bht c sifat nawazta hai...or mery khyl se bht achion ki bunyad b...Ehram krna sikhiye Allah tala k Ahkamat ka uski makhloq ka jazbat ka or   apni zaat ka .                                                                                                                                                                        I

Han main Badal gaya hon

Image
Han main Badal gaya hon Han main keh raha hon Ali, ye main hi keh raha hon tmhra wohi dost jis ny kabi ksi b jga kisi b insan se har nhn mani aj wo ye batain tum se keh raha hai.. (Wo keh nhn raha tha wo siskian ly rha tha apny dost k smny) Wo laki meri pasnd nhn mera ishk hai or.......  "Ye ishk b to usi Zaat ny mery dil main dala hai ye Bat smjhny k liye k main  Ayrion tak Zoor b laga lu to kuch nhn kar skta us k Kun ka mohtaj hun Or agr usny Kun frma Dia to dunia ki koi Taqat usy mera hony se nhn Rok Sakti" muje badal dia hai mery kal ny main dar gya hon.tabah hona asan hai fana hona bohat mushkil.. bohat maan kia krta tha na khud py apni taqat py apny zahen  py apny har telnet k Taj ko main apny sar py sajya krta tha usny muje asi jga py btya hai k meri kia okat hai jahan main kar to kia kuch bol b nhn skata,   wo  khaliq or main makhloq hun main asal main khak hun or wo khak or hawon dono ka Mailq hai kbi b mery zary zary ko bikhair sakta hai. wa

Bohaat am cc larki

Image
Bohaat am cc larki Q nhn sochti wo chardiwari k bahr kabi usy T arbiyat  roki hai kbi Izaat. Bohat senstive sa lafz hai "Larki" name se hi ehsas hony lagta hai k dunia k sehmi c uljhi c nazuk c emotional c koi makhlooq hai mgr ak isi sehmi c nazuk c uljhi c makhlooq ka dusra pehlu muqamal,munfrid,bazabt,honsla mand,salika pasnd, bahdur, bahaya,Qurbania deny wali makhlooq hai. Tarjuma mushkil hai jis lafz ka us lafz ko larki kehty hain. kabi kabi bohat harait hoti hai k kesy ye zaaat itna kuch apny andar ly k itni noraml rehti hai  Ak bachi k roop main ye phool hai,ak larki k roop main ye khubsurti ki misal hai,ak maaa k roop main ye janat hai or phr nam iska  Bohaat am cc larki hai. Har dard har khushi har muskurahat har khawahish main ye kurbania deti hai phir b suuny main ata hai k is se hakeer,massoom,beaqal,bewafa koi nhn. Beti baan k apny maa baap ki sharmo haya ki hifazat ki zimadri iski hai Behn ban k apny bhaion ki izaat isky

اخلاق Ikhlaq

Image
   اخلاق  Ikhlaq baton ko bohat sari tasveeryn na dijiye sirf apna ikhlaq  اخلاق  behtar kr lijiye alfaz ko narmi main dhal lijiye yakin krn apki zuban ki mithas bohat se logon k dilon ko Rahat de skti hai bas apka lehja dusron py asar andaz hoga ap talkh lehjy se dusron k dilon ko kochal b sktyn hain or apny usi lehjy se kuchly hwe dilon ko skoon jesy muqam py b ly ja skty hain.  zindgi main kabi koi insan apny liye kuch bura pasnd nhn krta usky pas do option hoty hain Good and Bad to phir ikhlaq main kesi kanjoosi apny ikhlaq ko b top of the Good list main Rkhiye.Ap  apni zindgi main bohat kuch bdlna chahtyn hain hata k logon ko b magr nhn badl paty sirf or sirf isi waja se k log apko sun to lety hain magr yad nhn rkhty magr jin logon k ikhlaq mohabt,shafqat,ahtram jesi naimton se brhy hotyn hain wo ak to kia kai naslyn badl dety hain is ki sab se achi behtreen misal hmry payary Nabi    Hazrat Muhammad  ﷺ hain.jinhon ny na sirf  apny door k logon k dilon ko bdla blky an