Meri Tanhai

 Meri Tanhai

kabi kabi insan ase levl py b ajta hai k wo sirf or sirf tanhai dhundhta hai uska dil mutmain nhn hota mehfilon m bezari hi bezari mehsos krta hai usko bs hr cheez se rehai chahiye hoti h rishton naton zimadarion even k khud se b wo itna bebas or nakam sa feel krta hai k insano se nhn khud se b bchta phirta hai wo chahta hai ak rasta ho bs us py chlty jana ho kabi us rasty py brish hony lgy kbi dhoop ho or kabi patjhar ho us rasty py jo b log hon sb ajnabi or bekhyalion m chlty rhyn kisi ko kisi se koi ghrz na ho asal m ye wo muqam hota hai jb ak insan drd sehty sehty thokryn khaty khaty jan bojh k dhokhy khata hwa thak sa jata hai us wakt uski zaaat m uska apna ap nhn bchta wo asal m wo insan hota hi nhn jo wo kabi tha...ye uski ak koshish hoti h k wo apni zaat m khoya hwa apna ap dhundhy..dil ki halat us wakt banjhr zameen c hoti hai or demag ki halat kisi bhulbhliya si...har cheez us wakt shikwy main ghrk hoti hai k hme kis muqam py khara kr dia hai...apni zaat ki tanhai m dhubna or dhub k khud hi m kaheen ghrk ho jana hi us wakt ka maqsad hota hai...ase wakt main yan to insan khud ko hmesha k liye kho deta hai yan khud m dhub k apny is dunia m any ka matlb dhundh leta hai...Allah or bndy ki sulah agr ase wakt main ho jye to uski zaat...noor se brh di jati hai.. 




Comments

Popular posts from this blog

Bohaat am cc larki

Ehtraam

Han main Badal gaya hon