Purification of heart

 Purification of Heart

jesy k hum sub janty hain dil insan ka sub se main or important organ hai lekin ak cheez shaed hr insan na janta ho k dil na sirf as a human being bht zarori organ hai blky Qurb.a.ILAHI pane k liye b sub se pehla organ yehi hai yani wanhan b yehi main hai..hmri Rooh bohat hi sada or pakiza cheez hai isky liye swaab or ghuna azab or inam sub kuch secondry hai isky liye sub se pehli cheez Allah pak hai q k ye wnahn se ai hai mera ye kehna  b sahi nhn k Allah pak se mil k ai hai q k mery ilam ka jazira itna wasee nhn k ye lafz bol sakun mgr itna hr ak insan janta hai k rooh Allah pak k pas se ai hai isy dunia m udr se beja gya hai jahan hmry demag ki rasai nhn hai q k demag insan ko samjh bojh k liye dia gya hai or baki body ko control krne k liye dia gya hai mgr  ak cheez hmre jisam main asi hai jisy hmra demag control nhn kr skta zabrdsti kr skta hai mgr control nhn wo hai dil q k dil ka conection directly hmri rooh k sath joor dia gya hai sab janty hain k rooh masoom hai or is jisam main Qaid b uski apni koi mrzi or zuban nhn mgr Allah pak ny is dil ko Rooh k sath conect kr dia hai ta k wo hume Asal se joor k rkhy ab yanhan swal hai k asal kia hai to asal se murad hmra ynhan is dunia m hone ka maqsad hai or ye dunia blkl b hmra asal nhn. na hi ye fani jism or demag asal hain asal bus ALLAH pak ki zaat hai jo k hmesha hai jo insan apna Asal yani k Allah pak ny ynhan mjy q beja ye paa leta hai wo yaa to dunia m wali ban jata hai yaa dunia se bezar ho jata hai..dno surton main wo is nazar any wali rangnion se beniaz ho jata hai...humra aj ka topic itna wasee hai k isy ak hi Post main cover nhn kia jye ga isky liye parts banye jyn gy to hum sub se pehle dil ki kuch main cheezon ko discuss kr lety hain us k bad next ki trf jyn gy..


humra dil or rooh Hume kis trah se Allah pak se jory rakhty hain ye janna subse zyda zarori hai lekin us se b zyda zarori hai hmry dil ki safai q k Allah pak se juri hui koi cheez asi ho hi nhn sakti jis main pakeezgi na ho..Dil ki pakeezgi or Allah pak se connection k liye chand cheezyn hain jo bht zarori hain..
Is main sub se pehly ata hai Husn.a.slooq or husn a slooq b asa jis main ajzi or tawazya saaf zahir hoon asa na ho k husn a slooq k nam py ap dikhwy ka muzahira krty rhyn iski misaal blkl ase hogi gi k ap ne sara din heeron ki talsh main khoodai ki or raat main Koilay ly k ghr agye..insaniyat se husn.a..slooq Allah pakk k ahkamat k sath husn.a.slooq dil ki purification or dil k skoon ka pehla amal hai..isky bad ata hai Allah pak k han khud ko khali kr k ilteja krna pury khoof k sath  is jumle ki tashree kuch ase hogi k wanhan itna ajiz ho jna k jitna ak bndy ko hone ka haq hai jtna uski bnai hui makhlooq ho haq hai jesy maa baap ny janam dia Prwrish ki or hum se koi umeed lgai to wnahn zid krna or akr jana sirf nuqsan hai to socho jis ny bnya phr paida b kia or tmhri zindgi ko design b kia wnahn zid or akr tume srf or srf sheetan bna skti hai ambia yaa wali Allah to door ki bat hai tum insan hone kashrf b khoo dety ho..to khali ho jane ka matlb hai tum ny jo khud ki zindgi ko khud design kr rkha hai us se khali ho k us se ilteja kro k mola jo hai tera hai main b meri soch b mery paln b to mumkin hi nhn k tumhre haq main faisly ghlat hon tumhe tumra hi tyr kia hwa design ase mily ga k tumhri soch wnahn dhang reh jye gi..teesra amal hai Allah pak k ahkamat ko trjhii dena or iny pura krna misaal k toor py Allah pak ny namaz ka wakq mukrar kr dia hai hajj ka rozy ka isi trah usky har hukam ka wakq hai usky hr hukam ko pehle ada krna insan py frz hai yani lazim hai asa ho hi nhn skta k tum insan ho k ksi insan k hukam m pehl kr jao or usky hukam ko dusry number py rkho socho na to us k agy tumhri koi okat hai na to us dusry insan ki haan mgr kahin pr insan ko choot de di gae hai misal k toor py ak insan ki jaan khtry main hai tum nmz prh rhy ho to tum nmz toor k uski jaan bcha skty ho isi trah k or b mamlat hain mgr trjhi sirf us zaat k liye hai or ksi k liye nhn..isky bad ati hai khud atmadi asi khud atmadi jis ka taluq rooh se hai yaa phr dill se jesy Allah pak ny apko ak sift de k beja hai wo sift koi b ho skti hai ap imandar hain,ap joth nhn bolty,ap hsad nhn krty,ap hram nhn khaty yaa ye tamam hi ap m majood hain to apko khud py itna brosa hona chahiye k ap is sift ko kbi dagdar nhn krn gy chahy apko puri dunia se lrhna pry ya koi apko mazak ka nishna bnata rhy mgr ap uska damn nhn choryn gy jo sift Allah pak ki trf se tohfy m mili hai..ye tmam shrtyn ya asool hain jo apke dil ko Allah pak se jory rakhty hain is m itni pukhtagi ikhtyr kr lyn k apky wajud ka hr hisa apka sath de q k dil k tahfuz se behtreen or koi b tahfuz nhn agr apny dil ka tahfuz khoo dia to ap beskooni ka shikar ho jyn gy or beskoon insan apne demag ko trjee deta hai k ksi trah demag ka skoon hasil kr ly mgr wo nhn paa skta q k mamla dil ka hota hai or dil k mamlat main demag apka sath kbi b nhn de skta...skoon pane k liye apko apne dil k rastoon py hi ana prhta hai or Allah pak se jurhne se braah koi skoon nhn hai...
NEXT PART TO BE CONTINUE....

Comments

  1. ❣️.. Masha Allah...beshak ..

    ReplyDelete
  2. Apny upr likha hai Dil ki imaandari k bry main

    ReplyDelete
  3. Allah ki raza ki khatir sb se pehly Dil ko he Marna prta hai ..

    ReplyDelete
    Replies
    1. Dil kbi nhn mrta..ye lfz ap zameer ya khwhish k liye istmal kr skti hn..dil ak bar hi mrta hai jb rooh iska sath chorti hai..

      Delete
  4. Aksr achy Kam krny k khatir Dil asi bhol bhulaiya m uljhta chla jta hai ke na to hm khud agy jna chahty hn .. or na he wapsi ka koi Rasta hota hai .. or kahin jb apko koi Rasta mil jaye .. niklny ka .. to Kya Allah pa hme muaf kr dety hn ya .....?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sb se pehle to m mention kia hai k batkne wli cheez demg hai dil nhn dil apko hmesha sucahi ki traf amada krta h...hanji dil ki kuch beemrian hn unka zikr in sha Allah nxt post m hum krn gy or unka ilaj b majood hai q k hm insan hn frishty nhn ghltian krna hmra kam hai mgr suchi tobaah apko Allah pak k kreeb wesy hi ly jati hai jesy ap pehle hty hn...iski misaal maa hai maa mr b lti hai dnt b lti hai mgr kbi asa nhn hwa k maufi mngne k bd b uska rwiyaa badl jye or wooo to 70 maaon jtna pyr krta hai to phr mumkin hi nhn k apni chahat wle bndy ko khud se door rkhy...bki details nxt post m apko mily gi...Fe.aman.Allah

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Bohaat am cc larki

Ehtraam

Han main Badal gaya hon