Rahat c ak Nazar

Rahat c ak Nazar

Insan k sath jhury lamhy agr bohat uljhno or taqlifon se brhy pry hain to ase b bohat se lamhe hain jin main maaan hai skoon hai mohabat hai apna pan hai khloos hai mithas hai suroor hai  or Rahat hai kisi se Mohabat ka iqrar b lazmi hai mgr ye 24 ghnty nhn kia ja skta yan phr 365 din nhn kia ja skta na hi isy jtya ja skta hai hr wakt na hi is m shrtyn rakhi ja skti hain han ynhan shrt se murad asi shart hai jo dusry insan ko mushkil main dal de yan uska skoon cheen lyn is k ilwa Mohaabt main ak dusry k liye bht c shrtyn ho sakti hain jesy ak Bivi apne shohar se ye shart rakh sakti hai k ap dhari rakhyn gy to main b hijab main raha krun gi ye shrt na sirf un dno ki mohabt importance ko  zahir kry gi balky Allah pak se Qurbat b brha de gi..to hr wakt hum ak situation main nhn reh skty mgr hum kisi k lamhon ko Rahat zaror bakhsh skty hain..Rahat se murad Situation k mutbik apni feelings ko dusron  tk ponhchna iski bohat c misalyn di ja sktin hain jesy Kisi ki jeet  pe ap door khry ho k usy sarah sakty hain ap nazron se usy shabash de skty hain apki nazr us k liye skoon ho jye gi usy itminan mil jye ga k han m jo kia wo bra maini rkhta tha..ase hi ghum zada k liye b asi ak nazr ho skti hai jo usy honsla de skti hai apki nazr usy ghum se nkl to nhn de gi fori tor pe mgr usky dil-o-demg main ak lehr uthy gi k m bht akela nhn hun is wkt agr phas gya hon kisi mushkl m yan ghum m to nkl jaon ga mery apne mery sath hi hain..hasty chehron ko rula dena bht asan kam hai mgr roty hwe ko hsana asal main kamal hai..dilon ko rahtyn dena hi asal main khidmat a khalaq hai ap ka maqsad skoon mahiya krna hona chahiye apne ikhlaq se apni ponhch se apni tufeeq se ap logon k liye asnia paida kia krn Allah ki zaat ap k rasty to swary gi hi apko do jahno main surkhrooh kr de gi jis ka taswur ap kr hi nhn skty..or naiki krne k moqy dhundhne niklo to rasty main hi mil jya krty hain dur nhn jana prhta jesy grmi m urhti hui chirya ko pani pila deny wla amal hi tmhre liye pul sirat se guzrne ka waseela bn jye ga bs apni niyaat main dusron ki bhalai brh lo phir dekho k zindgi kia skoon bakhshy gi...

 

Comments

Popular posts from this blog

Bohaat am cc larki

Ehtraam

إهـدنـا الـصـراط الـمـسـتـقـيـم - Ihdina al-Sirat al-Mustaqim