Bolti hui Ankhyn

                         Bolti hui Ankhyn

Ankhon ki zuban wo hi smjh sakta hai jis k dil main muhabat or Khlis ehsas hoty hain q k ankhon ny joth bolna nhn sikha na hi ye munafiq hoti hain han mgr inki zuban itni sidhi nhn hoti k hr koi smjh sky ye uljhna janti hain khud main magan krna janti hain insan ko uski zaat se milana janti hain ankhon main bht feelings hotin hain ye bht kmzoor hny k sth sth bht mazboot b hotin hain ak dafa agr in se koi ilteja nkl gae to wo tab tak picha nhn chorti jab tak puri nhn hogi...ak insan jo iny prhna sikh jata hai wo hr kisi k dil main utr k dil ka hal jan sakta hai magr ye b such k ankhyn prhny waly agr ashiq hon to bs do ankhon se matlb rkhty hain un do ankhon se jin se inky dil ki darkan juri hoti hai jin se unki subah sham juri hoti hai jinko dekhy bagair wo bchain or udas rehty hain or ye b such hai k unki jhalak bechaini kaam nhn krti muzeed brha deti hai suchy ishq main bht tishnagi hoti hai ak br  dekh lo so bar dekh lo dekhty hi jao mgr ankhon ki pays nhn khtam hoti brhti jye gi hr br nai hr br pehly se zayda...ankhon se milny wla pyr insan k dil py bht asar krta hai asa asr k uska dil phr dunia ki kisi rangeeni kisi ronaq kisi nazrye ko accept nhn krta usy bs wo do ankhon se matlb hota hai wo hr jga uny dhondta hai uny mngta hai uny dekhna chahta hai...lehjon ki mithas zuban se zayda ankhon k zariye mithi bnae jaa skti hai ankhon m shfqat or mohbat se brha deny wly log shakl k kesy b hon dunia k khobsurat treen log hty hain..isi liye islam main chehry k prdy se kai zyda ankhon k prdy ko trjeeh di jati hai ye assa prda hai jo mrd or orat dno py lazim rkha hai mrd kisi bhi gair orat ki trf ankh utha k nhn dekh skta or na hi koi orat kisi gair mrd ki trf ankh utha k dekh skti hai...orat ka dil bht nazuk c feelings rkhta hai is liye uski ankhon m b zyda tr nrmi or muhbt jesa ehsas nazr ata hai jin ki wja se koi b unki trf mail ho skta hai.. 



                  Hum kia jane samandr ki gherai ko

                Hme to do  Ankhon se fursat nhn milti

             

              

               

              

               




Comments

Popular posts from this blog

Bohaat am cc larki

Ehtraam

Han main Badal gaya hon