Deedar ki Talab

                        Deedar ki Talb 

Deedar a pasandeda ka alam janat ki kisi khirki se kam nhn hota insan ko bs kisi k deedar ki talb na lag jye bechaini k lamhat ka ilaj phir bs ak hi nazr main hota hai jab insan ko deedar ki talb lag jye phr aram nhn milta bas tishnagi hi milti hai roog ka nam b dia ja skta hai is talb ko asa rog jis ka ilaj phr ak hi chary main rakh dia jata hai insan khooo k reh jata hai ase nazry main jo na hi smjhye jaskty hain na hi btye ja skty hain..kisi chahry ka deedar or usi ki ankhon se ye raaz b rkhna pani m dhoob k sans lny se zyda mushkl hai...





ye asa wakt hota hai jab ankhyn or dil ak dusry k  shararti dost ban jty hain or demag inka ustad bas danta or islah krta hi reh jata hai mgr wo dno ustad se bach bcha k apni shararton main magan rehna chahty hain or khub mazy lena chahty hain..deedar a  shoq main Allah pak ny tishngi k sth sth skoon b bht rkha hwa hai ak nazr dekh lia to smjho rahat paa li bas wo nazar uski nazr se na mil jye wrna kaam khbr ho jta hai jesy do opposite wires ka ak dusry se connect hona or isky jhtky sidhy kahin rooh ko lgty hain jin ki defination hi nhn bani aj tak wo hai kia cheez..Deedar.a.mohabt main bht pakizgi b rkhi gae hai ye blkl ase hai jesy koi muqdas cheez ki ziyrat ap bri Rohani c nazr se apni Mohbat ko dekhty hain jis main na koi lalch na koi umeed na koi lazat hoti hai bs apka mqsad ak nazr  dekhna hta hai apni Rooh k skoon k liye..mgr ye Sift bs Suchi or Pak Mohbat Ki hai asi Mohabat jis main Allah ki raza b shamil hoti hai..

Comments

Popular posts from this blog

Bohaat am cc larki

إهـدنـا الـصـراط الـمـسـتـقـيـم - Ihdina al-Sirat al-Mustaqim

Ehtraam