Chirya jesy Dil

Chirya jesy Dil.....


Jab b narmi ki koi misal di jati hai to sab se pehly yehi bola jata hai k uska dil chirya jesa narm hai is bat py bohat hyrani hwa krti thi muje k akhir kia khas hai asa chirya k dil m jo insano k dil ko azeem bna deta hai agr wo chirya jesi nrmi ikhtyr kr lyn ynhan tak humry Payry Nabi Hazart MUHAMMAD (ﷺ) Nay b frma dia k "Jannat main wo log jyn gy jin k dil chirya ki trah narm hon gay" ..To ab to mera tajsus or b brh gya k pta kesy chly k dil chirya jitna nrm hai yan nhn na hi insono m rehti hai na hi iska koi wasta hai na koi lain dain jo andza kia ja sky...phr mian ny uski kuch khoobion py ghoor kia jis waja se insono ko isky jesa raviya ikhtyr krne k liye kaha jata hai shaed us main asi kai khoobian hain mgr meri rasai in tak hi ho saki..sub se pehly to ye k chirya k dil main khoof boht hai wo hr us cheez se drti hai jis se mna kia gya hai usy pakry jane ka bht khoof hai..ase hi agr insan apne andr ye khoof paida kr ly k uski pakr ho jye gi apne khaliq k han to wo har  us cheez se dry ga jis se mna kia gya hai..Dusra wo apna ghonsla bs arzi tor py tyr krti hai q k usy pta hai ye drkht uski mnzil nhn usy kahin or jana hai na hi zakhira krti hai bs itna k uska or ussky bchon ka pait brh jye kal ki prwa nhn krti mehnat krti hai or Allah py itna pukhta yakeen rkhti hai k jesy aj mila wesy hi kal b mily ga..agr insan b yehi soch ly to wo wali jesa muqam pa ly wo Allah k itna kreeb ho jye..hr wkt apni manzil ki tyri hr wakt dil main Allah ki Qurbat koi b mushkil koi b azmaish usy talkh na lgy wo hr cheez py sabir ho jye uski zaat main siqk ajye...Teesri baat chirya wo dana chor deti hai jisy dusri chirya khne lag jye itna chota sa prinda or itna  allaw zarf jisy dusron ki bokh ka itna khyl ho jisy apni bokh bokh hi na lgy jisy agly niwly ki koi khbr nhn mgr phr b sabr ki inteha..agr insan b apne haqoq-ul.abad py itna khubsurt  muzahira kry to socho jaanat kesy na mily gi usy...hr insan ko chirya jesa dil rkhne ki talqeen is liye ki gae hai..

Comments

Popular posts from this blog

Bohaat am cc larki

Ehtraam

إهـدنـا الـصـراط الـمـسـتـقـيـم - Ihdina al-Sirat al-Mustaqim