Jeene ki Waja
Jeene ki Waja
zindgi mian sub se zyda zarori hai ehsas insan ki sb se bri kmzori b yehi hai or sb se bri taqat b yehi kisi b moor py thak jna or gir jana keh dena k bas main nhn chal skta ab bs hwa ye safr mery bas ki bat nhn..sirf ak lafz hai jo apko is muqam se utha k bhga skta hai or wo hai ehsas..iski ak choti c misal ase hai k ap ak sukhty hwe poday ko pani deny lag jyn usy do wakt ka pani dena us k liye jiny ki waja bn jye ga wo phr se hara brha ho jye ga pta hai q k us pody k sth apka ehsas jurh gya or jin cheezon k sth ehsas jurh jye wo sukh k b hary rehty hain..blkl insan b ase hi hai wo sakht se sakht halat ka muqbala kr skta hai agr usky pichy ak ehsas krne wla majood ho wo zindgi ki koi jang nhn harta q k janta hai koi muntzir hai koi umeed m hai koi dua ghoo hai uski khatir..or isi k oposite agr dekha jye to ak hasta khelta khush bash insan apny wjood se tang a ajta hai agr usy ye khyal ajyn k usky liye kisi b dil main ehsas nhn hai wo apni zindgi k khatmay ka bndobast krny lag jta hai khud ko kmzor treen smjhne lag jta hai usky liye zindgi ka mtlab sirf drd hota hai q k ehsas ka taluq dil se b hai or demag se b dil k faisly itny khtrnak sabit nhn hty jitny demang k q k demag m janon hai or janon insan ko mout k khoof se b do chaar kr deta hai..is door main sb kuch mumkin hai technology se ap ak move krta hwa rebot tak tayar kr skty hain magr agr nhn dal skty to us k dil main ehsas q k ye tamam cheezyn Allah ki dain hain insno k bas se bht dor hai is ki rasai..Ehsas k bgair koi b rishta blkl ase hai jesy apny bht mehnat se khna bnya uski achi c garnishing ki mgr khny ka zaika nhn hai to ap smjhyn apki mehnat zaya gae..
Comments
Post a Comment