Wakt Ka Atbar

 Wakt Ka Atbar............





Wakt ka atbar krna or wakt ka atbar na hona blkl do alag cheezyn hain asi cheezyn jis main ngtive or positive dno hi ajty hain..pehle wakt ka atbar krne ko hum discus krty hain ye jumla sirf wo insan boly ga jo Allah py bra yakeen rkhta hai bht pukhta hai apne Allah se uska rishta wo kahy ga Allah pak sb behtr kr dyn gy usy is bat py yakeen hoga beshuk wo andr se tota hwa gira hwa mra hwa q na bn jye wo kahy ga Allah ki azmaish h beshuk Allah ki azmaishyn utra krti hain apne bndon py apni makhluq py apny pyaron py sab py r azmaish wahad cheez hai jis se allah pak ko bndy ki nhn blky bndy ko khud apni pehchan ho jat hai k uska asal kia hai..isi trah azmaishyn apky sth jury logon ka asal b bta dia krti hain k wo apky liye yan ap un k liye kia drja rkhty hain...to Wakt k atbar ka taluq Allah se achi dosti ka sabot hai...ab ase hi dusri trf wakt ka koi atbar nhn ko discus kr lty hain ye bat blkl such hai k wakt ki apni mrzi hwa krti hai ye ksi k kehne yan kisi k hukam ka paband nhn siwye Allah pak k..is surat main hum keh skty hain k wakt ka atbar mtlb Allah pak k faisle ka atbar  wakt ki krwat agr bht sakht hai or apky liye bht talkhi ly ai hai or apne ye b jaaan lia k ab wakt ny mery sth daaga kia wakt ny mery sath kia kr dia to smjhyn k apne shikwa kr dia wakt ka atbar nhn wla jumla bs is had tk theek hai k wo badl gya or ab dubra bdle ga acha bury m bdla hai to bura achy m bdle ga ab bht acha hai to ho skta hai kal azmaish utr aye..mgr ye soch lena k ab is ne nhn bdlna mery sth kia kr gya ye wakt mtlb apko Allah k faisly py koi shuk hai or apko Allah pak se dosti ki bht zarort hai ta k ap ye keh payen uski raza hai in.sha Allah wohi sab theek kry ga..to wakt py atbar krna sikhyn mushkil is bat ki nishni hwa krti hai k tmhry Allah ny yan to tme azmya hai yan tmhri khaton ka kufra ada ho rha hai or ab hi wakt hai yan to tum hmesha k liye us se door ho jao gy yan hmehsa k liye usky ho jao gy baki tufeeq hr bndy ko nhn mila krti is k liye dil ki suchai bru zarori hai..



Comments

Popular posts from this blog

Bohaat am cc larki

Ehtraam

إهـدنـا الـصـراط الـمـسـتـقـيـم - Ihdina al-Sirat al-Mustaqim