Ranjhe ki Heer

 Ranjhe ki Heer


 

 Main such kehta hun k ranjha hun uska or wo meri heer hai wohi ranjha hun jo apni heer k deedar k liye jee rha hai wohi ranjhan jo kabi b apni heer se judah nhn hova wohi ranjha jiski ratan jis k din Apni heer k liye guzra krty hain mery liye wo ibadat ki trah hai pakiza hai blkl wesy jesy ibadat pakiza hoti hai main us k sath wady b krta hun mgr joth nhn bolta ye nhn kehta han krun ga dekhun ga main krta hun krna chahta hun har haal main han m us heer ko pany k liye din raat kam b krta hun main us heer ki hasi se zyda kuch b anmol nhn smjhta meri heer jainamz py bethi mery liye duaen magti hai matyn mangti hai mosoomiyat se kehti hai Allah pak usko slamat rkhna wo meri heer mery liye blkl wesy hai jesy bchy k liye chand hota hai jisy pany ki dekhne ki mehsos krne ki adat or khwahish sari zindgi rehti h khtam nhn hoti chahy wo baha brah b q na ho jye...main wo bacha nhn hun jo heer ko khilono ki trah mangy q k khilone bs dil behlaty hain tot jaty hain phank diye jaty hain bezari b ho jti hai badl b diye jaty hain or meri heer k liye ye lafz taswur b nhn kiye ja skty wo meri rooh ka skoon hai q k mera nam wo Allah pak k sme leti hai or jo nam Allah pak k smne lia jye achi niyat se ho hi nae skta apko us insan se skoon na mily or wo skooon apki rooh ko na chuwe is dunia m mohbtyn ishk laztyn roz hwa krti hain mgr Heer or ranjhe br br nhn aty main nhn kehta bohat acha hun naik hun bra tabyadar hun mgr Allah pak ka ye kram hai k ranjha hun apni heer ka itni mohbat krna hum khud se nhn sikh skty na hi kr skty hain hume sikhai jati hai hmry dil m utri jati hai..or wo mohbat itni ba asar hoti hai k kbi ase insan k pas se uthne ko dil hi nhn kry ga jis py Allah pak ny utri hogi wo sabir hoga wo bayakeen hoga wo darguzar kry ga wo apny ishk ki wjha se ba ikhlaq ho jye ga uska lehja makhluq k liye bra purisrar hoga han main asa hi hon mj main or to shaed koi sift hogi yan nhn mgr main mohabton main bra sucha hon hr rishty main bra mukhlis hun q k main rajha hon apni heer ka...main Allah pak se usy mangta hun mngta rhun ga wo zindgi main na dega to jannat main milwaye ga muje yakeen hai ye dua zya nhn ho rhi kahin to ja k thehr rhi hai kahin to isko socha ja rha kahin to naksh hai kahin to iltajaen ba.asr hain bas isi soch ko liye main dua krna nhn chorta main krta jaon ga krta ja rha hon..azmaishaen b ranjhun py hi aya krti hain kbi jothy or makraon py nhn ain q k Allah pak ne frmaya k azmaishen usky bndon py ati hain or main uska bnda hon kitna aziz ktna ghunagar ye nhn janta mgr han main usi ka hon wo jab b azmiash main dalta hai tab wo muje bta deta hai k main uska hon main uski nazar main hon wo muje dekh raha hai main phasta hun to nikal b leta hai..Al.hamdu.lilah muje Heer mili q k heer b Allah ki bandi hwa krti hai wo b usi trah usi ehsa usi rehmat ki maliq hwa krti hai..uski b zaat main itni hi sifat hwa krtin hain jtni rajhne ki zaat main..or hr ak heer hr ranjhe ki kismat main asa insan zoror ata hai jo yan to unki judai chahta hai yan judah kr deta hai mgr uska zikr na kbi ksi ny sunah na kia jye ga na kia jata hai q k wo Heer or ranjhe ko na kbi smjha na smjhy ga.. na wo janta  h heer cheen lene se heer nhnn mil jatii heer to ranjhe ki hi rehti hai chahy kahin b ly jao kahin b chupa lo...Or in dono ka nighyban Allah hwa krta hai iski misal har dfa mili jb jb judah kia gya alg kia gya dono ko Allah ne chupa lia apne daman main q k wo dono bas ak dusry k liye hain aj na mily to kal janat main mia diye jyn gy..

Comments

Popular posts from this blog

Bohaat am cc larki

Ehtraam

إهـدنـا الـصـراط الـمـسـتـقـيـم - Ihdina al-Sirat al-Mustaqim