Posts

Rahat c ak Nazar

Rahat c ak Nazar Insan k sath jhury lamhy agr bohat uljhno or taqlifon se brhy pry hain to ase b bohat se lamhe hain jin main maaan hai skoon hai mohabat hai apna pan hai khloos hai mithas hai suroor hai  or Rahat hai kisi se Mohabat ka iqrar b lazmi hai mgr ye 24 ghnty nhn kia ja skta yan phr 365 din nhn kia ja skta na hi isy jtya ja skta hai hr wakt na hi is m shrtyn rakhi ja skti hain han ynhan shrt se murad asi shart hai jo dusry insan ko mushkil main dal de yan uska skoon cheen lyn is k ilwa Mohaabt main ak dusry k liye bht c shrtyn ho sakti hain jesy ak Bivi apne shohar se ye shart rakh sakti hai k ap dhari rakhyn gy to main b hijab main raha krun gi ye shrt na sirf un dno ki mohabt importance ko  zahir kry gi balky Allah pak se Qurbat b brha de gi..to hr wakt hum ak situation main nhn reh skty mgr hum kisi k lamhon ko Rahat zaror bakhsh skty hain..Rahat se murad Situation k mutbik apni feelings ko dusron  tk ponhchna iski bohat c misalyn di ja sktin hain jesy Kisi ...

Sehra main batak Gya

Image
  Sehra main batak Gya    Jub insan kisi rasty main batak jaata hai to usky pas bohat options hty hain k wo wpis ja sky wo rasta poch sky ksii or rasty se ponhch sky mgr jub wo ksi sehra main batak jata hai to uske pas asa koi b option nhn hota k wo koi hal nkl sky wo na hi ksi se kuch poch skta hai na hi koi direction pta kr skta hai bus us wakt ak hi zaat hoti hai jis k kram se wo nikal skta hai.. usy bohat se khoof sta rhy hoty hain tofan k ajne ka khoof payas ka khoof kisi sehrai zehrily janwar ka khoof wo apni manzil se kai zayda apni jaan ka fikr mand ho jata hai  usy beyank treen mout ki fkr lg jati hai usy lgta hai jesy uski jan bs kisi b wakt main nikal li jye gi us wakt wo apni brdasht se kai zyda lrh prhta hai wo pyas brdash kr leta hai wo bokh se guzrta hai sehra ki tapish kisi py reham nhn krti wo batky huwe insno ko ase jala k rkh deti hai k wo kisi jalty hwe anghron m se guzr rhy hon hwaon ka zoor b us wakt sehra ka hi sath deta hai sab mil k insan k a...

إهـدنـا الـصـراط الـمـسـتـقـيـم - Ihdina al-Sirat al-Mustaqim

Image
      إهـدنـا الـصـراط الـمـسـتـقـيـم  Ihdina al-Sirat al-Mustaqim Naiki ki raah pe chlna asan hai yan mushkil..?ye swal hr us zehn m ata hai jo is rasty py chlne ki yan to koshish krta hai yan phr chlna shuru krta hai is rasty ka matlb Hai sidha rasta hr wo insan jo sidhy rasty ko apnna chahta hai wo tehry raston py chal rha hota hai ase rasty jo hume sidhy raston se batka dety hain to sb se pehli bat k ye shurwat main mushkil ho skta hai q k jb hum batak jaty hain or phr sidhy rasty py any ki koshish krty hain to humy dhondna prhta hai phr mushkil to paish aye gi hi mgr ak bar is rasty py chal prho to asnia mil jyn gi ab ynhn asnion ka mtlb ye b nhn k aram de zindgi yan ashisho aram is ka matlb ye hai k dubra btkne se bach jao gy yan jin raston se nkl k aye ho wo nhn dekhne pryn gy Allah pak ki zaat se duri ka dr khtam ho jye ga zehn bohat sari uljhno se bach jye ga mushkil se mushkil kam krty hwe ye ehsas nhn ho ga k main kuch ghlat kr rha hun yan phr wakt zya kr...

Meri Wife❤

Image
 Meri Wife❤ Baki mardon ki trah main b asa hi hun bivi k mamly m k wo jo b mjy de rhi hai mery liye kr rhi hai wo haq hai mera wo usy krna hi hai m uska kafil hun usky bdle main wo muje serve kry gi hi ye uski duty b hai or uski zarort b..mgr jesy hi wo mery smny ati hai chahry py muskrahat chahy ktni b uds q na ho srf mery liye ye uski duty nhn hai mera hath pkr k mjy dunia ka nayab treen mrd bna deti hai ye b uski duty nhn hai wo hr ak km apni chaht or meri mohbt main krti hai wo kbi nhn sochti k jo b kr rhi hai wo duty hai uski mera khyal rkhna uski zarort blkl b nhn hota muje khush krne k liye apni ana ko mr dena b uski zarort nhn ho sakta...baki mrdon ki trah m b sochta hun k achy khny achy kapry dila k thory se gfts de k m mahan bn gya m ny bht kuch kr dia usky liye mgr main is bt se anjan hota hun k m jo b kia apni mrzi se kia tb kia jb mjy lga k han krna chahiye mgr wo rooz krti hai bht se ase kam jo wo krna b nhn chahti mgr usky liye bus meri khushi zarori hai bki sb bymai...

kanch Ki Ghuria

Image
 Kanch Ki Ghuria Main normal bachon ki  trah normal khilono se aj tak nhn khela mery khilono ki collection dekh k lgta tha jesy kisi scientist ki lab yan phr kisi carpenter ki shop yan phr kisi mechanic ki workshop wo sb khilone meri mrzi k thy kuch mery apne ijad kiye hwe or kuch ajeeb o greeb jagun se khridy hwe..khair ak din m apne Ami Abu k sath bahir gya rasty main muje ak choty se stall py ak kanch ki ghuria nazr agae wo muje itni pyri lagi k muje or kuch jesy acha hi nhn lga us pury tour py mera dehan usi ghuria py rha jb wpis aye to wo ghuria wanhn hi thi m ny bht himat kr k ami abu se demand ki k muje kanch ki wo ghuria lni hai pehly to bohat hyran hwe phr uno ny muje wo ly de chloo ab bachy ko chand hi mil gya ho jesy mery subah sham ab usi k sth guzra krty thy main us k liye itna pagl tha k school m b bethy muje wohi yad aya krti thi m usy bht smbhl k rkha krta tha meri or uski judai school ki timing wali hi hwa krti thi main bachon k sth khlne b kam hi jata tha bet...

Jeene ki Waja

 Jeene ki Waja zindgi mian sub se zyda zarori hai ehsas insan ki sb se bri kmzori b yehi hai or sb se bri taqat b yehi kisi b moor py thak jna or gir jana keh dena k bas main nhn chal skta ab bs hwa ye safr mery bas ki bat nhn..sirf ak lafz hai jo apko is muqam se utha k bhga skta hai or wo hai ehsas..iski ak choti c misal ase hai k ap ak sukhty hwe poday ko pani deny lag jyn usy do wakt ka pani dena  us k liye jiny ki waja bn jye ga wo phr se hara brha ho jye ga pta hai q k us pody k sth apka ehsas jurh gya or jin cheezon k sth ehsas jurh jye wo sukh k b hary rehty hain..blkl insan b ase hi hai wo sakht se sakht halat ka muqbala kr skta hai agr usky pichy ak ehsas krne wla majood ho wo zindgi ki koi jang nhn harta q k janta hai koi muntzir hai koi umeed m hai koi dua ghoo hai uski khatir..or isi k oposite agr dekha jye to ak hasta khelta khush bash insan apny wjood se tang a ajta hai agr usy ye khyal ajyn k usky liye kisi b dil main ehsas nhn hai wo apni zindgi k khatmay ka b...

Chirya jesy Dil

Image
Chirya jesy Dil..... Jab b narmi ki koi misal di jati hai to sab se pehly yehi bola jata hai k uska dil chirya jesa narm hai is bat py bohat hyrani hwa krti thi muje k akhir kia khas hai asa chirya k dil m jo insano k dil ko azeem bna deta hai agr wo chirya jesi nrmi ikhtyr kr lyn ynhan tak humry Payry Nabi  Hazart MUHAMMAD (ﷺ)  N ay b frma dia k " Jannat main wo log jyn gy jin k dil chirya ki trah narm hon gay"  .. T o ab to mera tajsus or b brh gya k pta kesy chly k dil chirya jitna nrm hai yan nhn na hi insono m rehti hai na hi iska koi wasta hai na koi lain dain jo andza kia ja sky...phr mian ny uski kuch khoobion py ghoor kia jis  waja se insono ko isky jesa raviya ikhtyr krne k liye kaha jata hai shaed us main asi kai khoobian hain mgr meri rasai in tak hi ho saki.. sub se pehly to ye k chirya k dil main khoof boht hai wo hr us cheez se drti hai jis se mna kia gya hai usy pakry jane ka bht khoof hai..ase hi agr insan apne andr ye khoof paida kr ly k uski pakr ...