Posts

Meri Wife❤

Image
 Meri Wife❤ Baki mardon ki trah main b asa hi hun bivi k mamly m k wo jo b mjy de rhi hai mery liye kr rhi hai wo haq hai mera wo usy krna hi hai m uska kafil hun usky bdle main wo muje serve kry gi hi ye uski duty b hai or uski zarort b..mgr jesy hi wo mery smny ati hai chahry py muskrahat chahy ktni b uds q na ho srf mery liye ye uski duty nhn hai mera hath pkr k mjy dunia ka nayab treen mrd bna deti hai ye b uski duty nhn hai wo hr ak km apni chaht or meri mohbt main krti hai wo kbi nhn sochti k jo b kr rhi hai wo duty hai uski mera khyal rkhna uski zarort blkl b nhn hota muje khush krne k liye apni ana ko mr dena b uski zarort nhn ho sakta...baki mrdon ki trah m b sochta hun k achy khny achy kapry dila k thory se gfts de k m mahan bn gya m ny bht kuch kr dia usky liye mgr main is bt se anjan hota hun k m jo b kia apni mrzi se kia tb kia jb mjy lga k han krna chahiye mgr wo rooz krti hai bht se ase kam jo wo krna b nhn chahti mgr usky liye bus meri khushi zarori hai bki sb bymaini o

kanch Ki Ghuria

Image
 Kanch Ki Ghuria Main normal bachon ki  trah normal khilono se aj tak nhn khela mery khilono ki collection dekh k lgta tha jesy kisi scientist ki lab yan phr kisi carpenter ki shop yan phr kisi mechanic ki workshop wo sb khilone meri mrzi k thy kuch mery apne ijad kiye hwe or kuch ajeeb o greeb jagun se khridy hwe..khair ak din m apne Ami Abu k sath bahir gya rasty main muje ak choty se stall py ak kanch ki ghuria nazr agae wo muje itni pyri lagi k muje or kuch jesy acha hi nhn lga us pury tour py mera dehan usi ghuria py rha jb wpis aye to wo ghuria wanhn hi thi m ny bht himat kr k ami abu se demand ki k muje kanch ki wo ghuria lni hai pehly to bohat hyran hwe phr uno ny muje wo ly de chloo ab bachy ko chand hi mil gya ho jesy mery subah sham ab usi k sth guzra krty thy main us k liye itna pagl tha k school m b bethy muje wohi yad aya krti thi m usy bht smbhl k rkha krta tha meri or uski judai school ki timing wali hi hwa krti thi main bachon k sth khlne b kam hi jata tha bethy usi se

Jeene ki Waja

 Jeene ki Waja zindgi mian sub se zyda zarori hai ehsas insan ki sb se bri kmzori b yehi hai or sb se bri taqat b yehi kisi b moor py thak jna or gir jana keh dena k bas main nhn chal skta ab bs hwa ye safr mery bas ki bat nhn..sirf ak lafz hai jo apko is muqam se utha k bhga skta hai or wo hai ehsas..iski ak choti c misal ase hai k ap ak sukhty hwe poday ko pani deny lag jyn usy do wakt ka pani dena  us k liye jiny ki waja bn jye ga wo phr se hara brha ho jye ga pta hai q k us pody k sth apka ehsas jurh gya or jin cheezon k sth ehsas jurh jye wo sukh k b hary rehty hain..blkl insan b ase hi hai wo sakht se sakht halat ka muqbala kr skta hai agr usky pichy ak ehsas krne wla majood ho wo zindgi ki koi jang nhn harta q k janta hai koi muntzir hai koi umeed m hai koi dua ghoo hai uski khatir..or isi k oposite agr dekha jye to ak hasta khelta khush bash insan apny wjood se tang a ajta hai agr usy ye khyal ajyn k usky liye kisi b dil main ehsas nhn hai wo apni zindgi k khatmay ka bndobast k

Chirya jesy Dil

Image
Chirya jesy Dil..... Jab b narmi ki koi misal di jati hai to sab se pehly yehi bola jata hai k uska dil chirya jesa narm hai is bat py bohat hyrani hwa krti thi muje k akhir kia khas hai asa chirya k dil m jo insano k dil ko azeem bna deta hai agr wo chirya jesi nrmi ikhtyr kr lyn ynhan tak humry Payry Nabi  Hazart MUHAMMAD (ﷺ)  N ay b frma dia k " Jannat main wo log jyn gy jin k dil chirya ki trah narm hon gay"  .. T o ab to mera tajsus or b brh gya k pta kesy chly k dil chirya jitna nrm hai yan nhn na hi insono m rehti hai na hi iska koi wasta hai na koi lain dain jo andza kia ja sky...phr mian ny uski kuch khoobion py ghoor kia jis  waja se insono ko isky jesa raviya ikhtyr krne k liye kaha jata hai shaed us main asi kai khoobian hain mgr meri rasai in tak hi ho saki.. sub se pehly to ye k chirya k dil main khoof boht hai wo hr us cheez se drti hai jis se mna kia gya hai usy pakry jane ka bht khoof hai..ase hi agr insan apne andr ye khoof paida kr ly k uski pakr ho jye gi

Tera Shukria..

muje jo mila teri inayat hai ay hamsafr  tu pas hai main khas hun tera shukria.. mri har hasi main teri mehak hai khil uthi jo meri zindgi tera shukria.. tu jo dekh ly muje payr se aik bar mery din ka hr lmha kahy tera shukria..  main Ass hun tu yakeen hai tuje keh rha hai mera honsla tera shukria.. muje ghuman nhn tha is skoon ka tune kr dia jo is se ashna tera shukria.. muje keh rahi hai meri zindgi  tuje mil gya hai tera rehnuma tera shukria..

Dil ki Batain

 Dil ki Batain insan ki kuch feelings kuch alfaz ase b hoty hain jo kabi zuban py nhn aty unka shumar amm alfaz main hota b nh wo bohat hi khas hoty hain q k un m asi koi milawat nhn hoti jo zuban se ki jati hai unka taluq bs dil se hota hai ase alfaz hr koi sun b nhn skta is k liye samny asa insan betha hona chahiye jo khas dil ka malik ho jis main dil tak ponhchne ki kabliyat ho jisy ehsas ho k dil b alg se ak ehmiyt rkhta hai hasta hai rota hai beskoon hota hai purskoon hota hai iski ak alg dunia hai..magr asay insan hr  jga py nhn mil jty ase insan bry nayab hoty hain jo dilon ki kadr krty hain inky alfaz sunty hain inki darkan ko ehmyat dety hain..wrnna insno main ase insan b mil jty hain k cheekh cheekh btao wo nhn smjhyn gy wo nhn jany gy k iski kia feelings hain..narm dil wle logon ka muqam bra uncha hai ase logon ko Nabi pak   (ﷺ)  ny jaanat ki bshrat b de rkhi hai jin k dil chirya jesy narm hon gy wo hi janat main dakhil hon gy to socho dil ki nrmi ka taluq tme kis k sath se

Wali Allah

Wali Allah Wali Allah lafz or ehmiyat ko ly k aksar mery zehan main boht sary swaal aya krty thy k akhir asa kia hai is lafz main yan in logon mian jo inko itna braa Muqam de dia jata hai Allah pak in bndo k sth pasandida lafz lga dety hain ..phr smjh main agya k q hain ye itne pasndida Allah pak k liye...is dunia main sb se zyda mushqil kam hai khawhisht ko mar dena..sbr kr jana dil ko sidq jesy lafz k sth jor lena(sabr or sidq dno alg alg sifat hain sabr main insan tqlif ko brdash kr rha hota hai mgr uff tak nhn krta sehta h or sidq main usy tqlif ka koi andza hi nhn hota chahy wo tqlif ktni b aziyat nak q na ho wo faisly py puri trah mutmain hota hai or shukr ada krny main ak pal b nhn lgata)..dil ko bndon or dunia k liye saaf kr lna apni manzil tak ponhch jana or magan ho jana un ahkamat main jo Allah pak ne Quraan a pak or Nabi Pak  (ﷺ) k  zariye hme diye hain..ye kam bs iradon main asan lgty hain magr Amal main bht mushkil..Amm insan or wali Allah main sb se bra frq ye hai k wo A