Wali Allah

Wali Allah

Wali Allah lafz or ehmiyat ko ly k aksar mery zehan main boht sary swaal aya krty thy k akhir asa kia hai is lafz main yan in logon mian jo inko itna braa Muqam de dia jata hai Allah pak in bndo k sth pasandida lafz lga dety hain ..phr smjh main agya k q hain ye itne pasndida Allah pak k liye...is dunia main sb se zyda mushqil kam hai khawhisht ko mar dena..sbr kr jana dil ko sidq jesy lafz k sth jor lena(sabr or sidq dno alg alg sifat hain sabr main insan tqlif ko brdash kr rha hota hai mgr uff tak nhn krta sehta h or sidq main usy tqlif ka koi andza hi nhn hota chahy wo tqlif ktni b aziyat nak q na ho wo faisly py puri trah mutmain hota hai or shukr ada krny main ak pal b nhn lgata)..dil ko bndon or dunia k liye saaf kr lna apni manzil tak ponhch jana or magan ho jana un ahkamat main jo Allah pak ne Quraan a pak or Nabi Pak (ﷺ) k zariye hme diye hain..ye kam bs iradon main asan lgty hain magr Amal main bht mushkil..Amm insan or wali Allah main sb se bra frq ye hai k wo Allah pak k liye sb se zyda khof rkhty hain sb se zyda muhabt rkhty hain unky dilon main dunia dari or is dunia ki bnae hui cheezon k liye jga bhtt bad main ati hai ap kisi b wali Allah ko dekh k andza lga sktyn hain k us k liye na to shan oshokat ehmiyt rkhti hai na hi dunia dari wo bs apko sadgi ki misal nzr aye ga ajzi or prhaiz ghri ka noor apko usky chehry py mil jye ga Wali Allah bn jna itna mutbr b isi liye hai k un insno k dil main Ishk a hakiki hota hai unka ghr dusra khana kaba hi hota hai jis main hr wkt Allah pak ka zikr rehta hai unky zehan siwye Allah ki yad k kuch nhn janty wo itny saaf or pak log hty hain jesy koi shisha bnawat or munafq jesi lanton se Azad unky Dil Allah pak ki Mohabat se purnoor hoty hain wo mehflon main bezarian mehsos krty hain or tanhai se mohabat krty hain q k ase lamhat main wo taswurati tor py Apne Allah pak se jor jaty hain or usi taswurati lamhy main Allah pak ki zaat iny apne itna kreeb kr lti hai k jesy wo inky samne ho.sb insano ki soch main ye sift rkhi gae hai magr sub log is sift ka theek se istmal krna nhn janty..apni soch main duniawi waswasy or lazaton ko rkhty hain jo dil o demag ko hr wkt bechain rekhty hain jin k Dil-o-Demag Allah pak se jury hon ye kamal bs unky pas hota hai wo apni soch main hi Hajj jesy azeem fraiz sr anjam de skty hain ye baki tamam logon k liye mojzat hain magr ak Wali Allah k liye bht hi amm sa Amal hai  jahan Dunia ki azmaishon m giry hwe bndy apne khliq se sirf nijat mangty hain wanhan Wali Allah isy Allah pak ka dia hwa ak tohfa samjhty hain wo apni azmaishon ko apny sar ankhon py rkhty hain k mera Allah is wakt meri trf puri trah matwjoo hai unki zuban Shukr jesy Kalmat se tar rehti hai to phir unka Rab kesy na khush ho kesy na fakhr mehsos kry kesy na apne frishton ko btye k dekho ye hain wo bndy jinky liye main ny tum se  zyda inko ashraf rkha hai..ase bndon ko wo zameen o asman k khazny jesi hakeer chezyn blkl b nhn deta ase bndon ko wo apni mohabt ka khubsurat treen tohfa deta hai wo janta hai k in k dilon ki rahat sirf or sirf main hun mery deedar ki trp inky siny main hr wakt rehti hai or wo unko nawzta hai Duaon ki kbooliyt to phr yanhan bht mamuli si bat hai wo apny bndon k Nam k sth Apna nam jor k iny dunia o Akhrat main mutbar bna deta hai "WALI ALLAH"

Comments

Popular posts from this blog

Bohaat am cc larki

Ehtraam

إهـدنـا الـصـراط الـمـسـتـقـيـم - Ihdina al-Sirat al-Mustaqim