Dil ki Batain

 Dil ki Batain

insan ki kuch feelings kuch alfaz ase b hoty hain jo kabi zuban py nhn aty unka shumar amm alfaz main hota b nh wo bohat hi khas hoty hain q k un m asi koi milawat nhn hoti jo zuban se ki jati hai unka taluq bs dil se hota hai ase alfaz hr koi sun b nhn skta is k liye samny asa insan betha hona chahiye jo khas dil ka malik ho jis main dil tak ponhchne ki kabliyat ho jisy ehsas ho k dil b alg se ak ehmiyt rkhta hai hasta hai rota hai beskoon hota hai purskoon hota hai iski ak alg dunia hai..magr asay insan hr  jga py nhn mil jty ase insan bry nayab hoty hain jo dilon ki kadr krty hain inky alfaz sunty hain inki darkan ko ehmyat dety hain..wrnna insno main ase insan b mil jty hain k cheekh cheekh btao wo nhn smjhyn gy wo nhn jany gy k iski kia feelings hain..narm dil wle logon ka muqam bra uncha hai ase logon ko Nabi pak  (ﷺ) ny jaanat ki bshrat b de rkhi hai jin k dil chirya jesy narm hon gy wo hi janat main dakhil hon gy to socho dil ki nrmi ka taluq tme kis k sath se jor rha hai..shaur rkhne wle hi janty hain k dil ko kia muqam hasil hai..ase log jo dilon k alfaaz tak pohach jyn wo nayab treen hain wo apko tqlif deny se drty rhyn gy apky ansuon se trp jyn gy apki chup main dard ko jan lyn gy..ase log apki zindgi main khud nh aty bejy jaty hain us zaat ki trf se jis ny wada kr rkha hai k apko apki brdasht se zyda taqlif nhn mily gi to ye bat b kahi ja skti hai k jub wo apki zindgi main ajyn to smjh jana Allah pak ap se razi hain q k wo taqlif k bad jub itna zyda skoon de dy jitna hum ny mnga b na ho to matlb apki azmaish khtam hui or wo ap se razi b hwa q k apne uska shukr kia us se rahat mangi uska sahara chaha ap idr udr nhn batke to ak to khushkhbri  ye k ap imtehan mian pas ho gye hain dusri ye k apko inam b ata kr dia gaya hai asa inam jo apki wo batain wo ehsas prhne or jannne aya hai jo apne ya to kabi  kisi se beyan hi nhn kiye ya kiye hain mgr samjhy nhn gye..dil ki batin sun leny wly insono ko kbi khud se dur krny ka mat sochyn jab tak Allah pak na chahyn

Comments

Popular posts from this blog

Bohaat am cc larki

Ehtraam

Han main Badal gaya hon