Azmaish
Har azmaish ka koi na koi maqsad zaror hota hai koi b azmaish insan pr bilawaja nhn utri jati ye azmaishyn hi to hain jo insan ki duaon k asal maqsad batne ati hain beshuk azmaishon m bht tqleef rkhi gae hai itni k insan hr ak lmha ak ase wakt se guzr rha hota hai jis main drd ki inteha ho jis main kaifiyt asi ho k ap ko lgy ap ki zindgi m taqleefon or museebton ny ab dyry dal liye hain ap nhn nkl pain gy is main se..asal main azmaish ati hi is liye hai k apko pehchna ja sky apko dekha jye k ap apne rab k bndy hain yan bs dikhwy hi krty hain bs nam hi laity hain wakai apko yakeen hai k jo zaat kbi nzr nhn ai wo hai hr cheez pr Qadir hai..azmaish se hmesha hi insan ko nkal dia jata hai utni tqleef de k jtni mukrar hoti hai na hi usy koi kam kr skta hai na zyda siwye Rab ki zaat k..magr nklne se kuch wakt pehly apka ye faisla zaror ho jata hai k ap ktny suchy insan hain apki akidat apki zaat main ktna yakeen or atmad hai apny Khaliq k liye..suchy logon kliye wo hmesha ase mojzat krta hai insan ki akal usy taswur b nhn kr skti wo soch m bas rasty ka taswur kr k betha hota ha magr uska Rab usy rasty k sth sth asi naimtyn ata frmata hai uska sr sadje main dil Allah pak ki mohabat main rehne k liye tarp jata hai.jis taqleef main insan ny sabr kr lia us taqlif ka anjam beshuk shukr hai..jis taqleef main wo bhatak gya us taqleef se to usy rahat mil jye gi magr wo Allah pak k kurb or hmesha milne wali bohat c naimton ko khoo deta hai..Azmaish kabi b bilwja ya bemqsad nhn hoti iska hr lmha apke Any waly skoon k sth jurah hota hai..
Comments
Post a Comment