Posts

Dil ki Batain

 Dil ki Batain insan ki kuch feelings kuch alfaz ase b hoty hain jo kabi zuban py nhn aty unka shumar amm alfaz main hota b nh wo bohat hi khas hoty hain q k un m asi koi milawat nhn hoti jo zuban se ki jati hai unka taluq bs dil se hota hai ase alfaz hr koi sun b nhn skta is k liye samny asa insan betha hona chahiye jo khas dil ka malik ho jis main dil tak ponhchne ki kabliyat ho jisy ehsas ho k dil b alg se ak ehmiyt rkhta hai hasta hai rota hai beskoon hota hai purskoon hota hai iski ak alg dunia hai..magr asay insan hr  jga py nhn mil jty ase insan bry nayab hoty hain jo dilon ki kadr krty hain inky alfaz sunty hain inki darkan ko ehmyat dety hain..wrnna insno main ase insan b mil jty hain k cheekh cheekh btao wo nhn smjhyn gy wo nhn jany gy k iski kia feelings hain..narm dil wle logon ka muqam bra uncha hai ase logon ko Nabi pak   (ﷺ)  ny jaanat ki bshrat b de rkhi hai jin k dil chirya jesy narm hon gy wo hi janat main dakhil hon gy to socho dil ki nrmi ka taluq tme kis k sath se

Wali Allah

Wali Allah Wali Allah lafz or ehmiyat ko ly k aksar mery zehan main boht sary swaal aya krty thy k akhir asa kia hai is lafz main yan in logon mian jo inko itna braa Muqam de dia jata hai Allah pak in bndo k sth pasandida lafz lga dety hain ..phr smjh main agya k q hain ye itne pasndida Allah pak k liye...is dunia main sb se zyda mushqil kam hai khawhisht ko mar dena..sbr kr jana dil ko sidq jesy lafz k sth jor lena(sabr or sidq dno alg alg sifat hain sabr main insan tqlif ko brdash kr rha hota hai mgr uff tak nhn krta sehta h or sidq main usy tqlif ka koi andza hi nhn hota chahy wo tqlif ktni b aziyat nak q na ho wo faisly py puri trah mutmain hota hai or shukr ada krny main ak pal b nhn lgata)..dil ko bndon or dunia k liye saaf kr lna apni manzil tak ponhch jana or magan ho jana un ahkamat main jo Allah pak ne Quraan a pak or Nabi Pak  (ﷺ) k  zariye hme diye hain..ye kam bs iradon main asan lgty hain magr Amal main bht mushkil..Amm insan or wali Allah main sb se bra frq ye hai k wo A

Azmaish

                                                                        Azmaish Har azmaish ka koi na koi maqsad zaror hota hai koi b azmaish insan pr bilawaja nhn utri jati ye azmaishyn hi to hain jo insan ki duaon k asal maqsad batne ati hain beshuk azmaishon m bht tqleef rkhi gae hai itni k insan hr ak lmha ak ase wakt se guzr rha hota hai jis main drd ki inteha ho jis main kaifiyt asi ho k ap ko lgy ap ki zindgi m taqleefon or museebton ny ab dyry dal liye hain ap nhn nkl pain gy is main se..asal main azmaish ati hi is liye hai k apko pehchna ja sky apko dekha jye k ap apne rab k bndy hain yan bs dikhwy hi krty hain bs nam hi laity hain wakai apko yakeen hai k jo zaat kbi nzr nhn ai wo hai hr cheez pr Qadir hai..azmaish se hmesha hi insan ko nkal dia jata hai utni tqleef de k jtni mukrar hoti hai na hi usy koi kam kr skta hai na zyda siwye Rab ki zaat k..magr nklne se kuch wakt pehly apka ye faisla zaror ho jata hai k ap ktny suchy insan hain apki akidat apki zaat main ktna yakeen

Deedar ki Talab

Image
                         Deedar ki Talb  Deedar a pasandeda ka alam janat ki kisi khirki se kam nhn hota insan  ko bs kisi k deedar ki talb na lag jye bechaini k lamhat ka ilaj phir  bs ak hi nazr main hota hai jab insan ko deedar ki talb lag jye phr  aram nhn milta bas tishnagi hi milti hai roog ka nam b dia ja skta  hai is talb ko asa rog jis ka ilaj phr ak hi chary main rakh dia jata  hai insan khooo k reh jata hai ase nazry main jo na hi smjhye ja skty hain na hi btye ja skty hain..kisi chahry ka deedar or usi  ki ankhon se ye raaz b rkhna pani m dhoob k sans lny se zyda mushkl  hai... ye asa wakt hota hai jab ankhyn or dil ak dusry k  shararti  dost ban jty hain or demag inka ustad bas danta or islah krta hi reh  jata hai mgr wo dno ustad se bach bcha k apni shararton main magan  rehna chahty hain or khub mazy lena chahty hain..deedar a  shoq main  Allah pak ny tishngi k sth sth skoon b bht rkha hwa hai ak nazr dekh  lia to smjho rahat paa li bas wo nazar uski nazr se na mil jye

Bolti hui Ankhyn

Image
                         Bolti hui Ankhyn Ankhon ki zuban wo hi smjh sakta hai jis k dil main muhabat or Khlis ehsas hoty hain q k ankhon ny joth bolna nhn sikha na hi ye munafiq hoti hain han mgr inki zuban itni sidhi nhn hoti k hr koi smjh sky ye uljhna janti hain khud main magan krna janti hain insan ko uski zaat se milana janti hain ankhon main bht feelings hotin hain ye bht kmzoor hny k sth sth bht mazboot b hotin hain ak dafa agr in se koi ilteja nkl gae to wo tab tak picha nhn chorti jab tak puri nhn hogi...ak insan jo iny prhna sikh jata hai wo hr kisi k dil main utr k dil ka hal jan sakta hai magr ye b such k ankhyn prhny waly agr ashiq hon to bs do ankhon se matlb rkhty hain un do ankhon se jin se inky dil ki darkan juri hoti hai jin se unki subah sham juri hoti hai jinko dekhy bagair wo bchain or udas rehty hain or ye b such hai k unki jhalak bechaini kaam nhn krti muzeed brha deti hai suchy ishq main bht tishnagi hoti hai ak br  dekh lo so bar dekh lo dekhty hi jao mgr ankh

Meri Tanhai

Image
 Meri Tanhai kabi kabi insan ase levl py b ajta hai k wo sirf or sirf tanhai dhundhta hai uska dil mutmain nhn hota mehfilon m bezari hi bezari mehsos krta hai usko bs hr cheez se rehai chahiye hoti h rishton naton zimadarion even k khud se b wo itna bebas or nakam sa feel krta hai k insano se nhn khud se b bchta phirta hai wo chahta hai ak rasta ho bs us py chlty jana ho kabi us rasty py brish hony lgy kbi dhoop ho or kabi patjhar ho us rasty py jo b log hon sb ajnabi or bekhyalion m chlty rhyn kisi ko kisi se koi ghrz na ho asal m ye wo muqam hota hai jb ak insan drd sehty sehty thokryn khaty khaty jan bojh k dhokhy khata hwa thak sa jata hai us wakt uski zaaat m uska apna ap nhn bchta wo asal m wo insan hota hi nhn jo wo kabi tha...ye uski ak koshish hoti h k wo apni zaat m khoya hwa apna ap dhundhy..dil ki halat us wakt banjhr zameen c hoti hai or demag ki halat kisi bhulbhliya si...har cheez us wakt shikwy main ghrk hoti hai k hme kis muqam py khara kr dia hai...apni zaat ki tanha

Meri Mohabat

Image
 Meri Mohabat kabi kabi muje lagta hai k main bohat selfish hun apny mufad k liye hai mera ehsas hr zarort jo kuch b hai meri lazat mery skoon k liye hai...isko mohabt nhn  kehty kisi insan ko itna beskoon kr dena k wo preshan ho jye wo thak k chor ho jye isy mohabt nhn kehty...magr phir usi pal m ye khayl ajata hai k Allah ny muj se bht sary rishty ly k muje ye insan diya hai bht kuch de k main ny usy pya hai Allah br br azmata hai or har bar kamyabi mil jati hai muje uski hr tqlif main muje tqlif hoti hai sara sara din mery khayal main ye cheezyn ghhomti rehti hain k usy kesy khush krun usky liye ab kia asa krun k main bas main hi sb se zayada pasnd rhun usy asa kia hai jo meri zaat main jo usy khushi or raaht de saky...uski hifazat kesy krun uski kaamyabi se jealousy nhn hui kabi blky lgta hai ye meri achivments main se hai....to phr ye mohabt kesy na hui ye ehsas pure kesy nhn hain ye to khalis rehty hain jo b ho jye jesy b ho jye kuch b ghlat ho jye ktnii b tqlif mil jye magr uska